
Nagar Ko 66 Varsho Ke Liye Jal Sankat Se Door Rakhane Hetu Dinak 18 Jun 2007 Se 15 Sitambar 2008 Tak Shri Mahalaxmi Mandir Par Rudrabhishek Kiye Gaye. Tatha Haridwar, Gangotri Aadi Pavitra Nadiyo Ka Jal Tigra Jalashay Me Mahapaur Vivek Narayan Shejvalkar Ji Ke Karkamalo Dvara Dala Gaya. Prati Din Shri Mahalaxmi Ji Tatha Shri Balaji Hanuman Ji, Shri Peetambara-Baglamukhi Ji Ke Darshan Va Prati Somvar Ko Manokamna Pooran Karane Hetu Shri Mahalaxmi Ji Ke Darbar Me Arjiya Lagai Jati Hain. Tatha prati Shanivar Ko Shri Dhoomavati JiKe Darshan Hetu Hajaro Sraddhalu Door-Door Se Aakar Darshan Labh Prapta Karte Hai. Aap Ko Yah Jankar Badhi Prasannata Hogi ki Galav Rishi Ki Tapo Bhoomi Gwalior Me Sthit Shri Mahalaxmi Shakti Peeth Mandir Trust 20-21, Apana Ghar Colony, Bahodhapur, Mahalaxmi Road, Gwalior Par Mandir Ka Jirnoddhar va Punarnirman Hetu 2 Karodh Rupaye ka Vyay Prastavit Hai. Jaipur Ke Kushal Karigaro Dvara Marwal Ki Dakshin Mukhi Vishal Shri Hanuman Ji Ki Chamatkari Moorti Evam Shri Mahalaxmi Ji KI moorti Anya 108 Devi Devatao Ki Bhavya Moortiya Sthapit Ho Rahi Hai Karya Pragati Par Hai. In Moortiyo Ko Vidvano Dvara Vishesh Mantro Se Anushthan Kar Pratishthit Kiya Ja Raha Hai. Inke Darshan Matra Se Karya Siddhi Hog Va Shani Ki Sadhe Sati, Dhaiya Va Asadhya Rog Tatha Oopari Badhaye Shant Hogi. Aisi Moortiya Poore Bharat Me Door-Door Tak Aapako Darshan Ke Liye Nahi Milegi. Jab Se Shri Mahalaxmi Mandir Ki Sthapna Hui Hai Nagar Ka Vikas Hua Hai, In Moortiyo Ke Dvara Aur Adhik Vikas Ki Dhara Bahegi Tatha Sukh-Samridhi Va Vishva Ka Kalyan Hoga.
Sthapna Hetu Sahayog Dekar Jeevan Ko Sarthak Kren.